Tuesday, November 22, 2011

Jiya nahi jata par kaha nahi jata

Jiya nahi jata par kaha nahi jata


Benaam nahi ye dard, umrobhar ka saathi hai ye dard,
Jiya nahi jata, par kaha nahi jata,

Kuchh bhi nahi hai, par usai dhundti hain nigaahain,
Ghar jaakar bhi mai, ghar nahi jata,

Wo hi ek chehra hai, saare jahan mai,
Jo ek pal ke liye bhi, dil se door nahi jata,

Tamashaiaam to mai, ban hi gaya hoon,
Wahin jata hoon jahan jaya nahi jata,

Wohi naam, wohi chehra, basa hai nas-nas mai,
Dekhta hoon wohi khwab ulphat mai, jo dekha nahi jata

Yaad karke usko leta hoon mai lambhi saansen,
Zinda rehte huai bhi mujhse yun, pal pal mara nahi jata,

Ab bhi mat sun tu o zalim tadapne de mujhko,
Itni suhuliat mai bhi mujhse ab to dara nahi jaata.
Kuchh kiya nahi jata,jiya nahi jata,
Jiya nahi jata, par kaha nahi jata .



(written on 4/4/2008)

No comments: