Waqt ke andhere mai khoye hue ehsaas
hain kuchh adhure se toote hue khwab
par hai chhoti si aas
poore honge mere wo khwab
Samunder ke kinaare dheere se
beh gaye jo chhote haathon ke ghar
par hai ek chhoti si aas
reh jayenge ye shayd agli baar
Wo josh, wo nadani,
kho gayi wo masti jisme thi azadi
par phir bhi hai chhoti si aas
shayad honge ham azad
Wo sukh dukh khushi ke shabd
kahan gaye shabdon se bune hue wo ehsaas
phir bhi bas yahi hai aas
Shayad mil jayein mujhe wo ehsaas
Waqt ke andhere mai khoye hue wo ehsaas